Kalaam-e-Amroha

Kalaam-e-Amroha

A selection of Urdu couplets by poets from Amroha
Spiritual (ruhani)

Ho tumko mubarak aye safiraane madina
Mehmaane khuda hote hain mehmaane madina

Bai'at kabhi zaalim ki gawara nahin karte
Hum qatl bhi ho jaayen to haara nahin karte

Dayar-e-shahid-e-bilqees ada se aaya hun
Main ek faqeer hun shahre saba se aaya hun

Jub purdah haqeeqat ka uth-ta nazar aata hai
Aalam ko Kanhaiyya ka jalwa nazar aata hai

Kahta hai tujhe kaun ki tu purdah nasheen hain
Har kooche wa bazaar me mai ne tujhe dekha

Philosophy (falsafa)

Shaheed-e-ghairat-e-insaniyat ke zauq se pooch
Lahu baha ke jo paayi wo aabru kya hai

Is se badh kar inteqaam-e-khoone nahaq aur kya
Azmat-e-baatil ko khud apne se nafrat ho gayi

Yahi raha hai hamesha se zindagi ka mizaaj
Hujoom-e-jalwa hai aur neend aayi jaati hai

Dil se dhadkan, khoon se azm-e-safar le jayega
Vaqt ek din chhen kar saare hunar le jayega

Wa'iz ho muhtasib ho brahman ho shaikh ho
Jo be amal ho us ki nasiyat haraam hai

Bhagwan ki puja kar na saka par rogi ko ek hansaya thha
Yun mandir to main ja na saka par balak ko ek bachaya thha

Mohan ye imtehaan ki manzil hai aakhri
Barbaadi-e-hayat ka shikwa na kijiye

Hai achchi baat tabiyat me inkesaar bhi ho
Magar mizaaj me thodi ana zaroori hai

Love (ishq) & Sorrow (gham, hijr)

Shuru-e-ishq me unse hii kuch hijaab na tha
Kabhi kabhi to khud apne se bhi haya aayi

Asaan nahin dariya-e-mohabbat se guzarna
Yaan Nuh ki kashti bhi toofaan ka darr hai

Masoom kis qadar thha main aaghaaz-e-ishq me
Aksar to uske saamne sharma gaya hoon main

Sayyad par kutar de par ye rahe khayaal
Bulbul ka pinjrah rahe phoolon ki daal par

Koi aalam nahin baaqi koi fitna nahin baaqi
Qayamat jhaad kar daaman uthi hai unki mehfil se

Allah re kis qadar na makini sukhan me hai
Ab to hamara naam teri anjuman me hai

Ab to utni bhi mayassar nahin maikhaane me
Jitni hum chhod diya karte thhe paimaane me

Jhooti qasam ki un ko ek aadat si pad gayi
Saanche me eitbaar ke dhalta raha hoon main

Bujhte chiraagh tu hi laga de mera suraagh
Shab bhar talaash karti rahi hai sehar mujhe

Kis ki rudaad hai ye, lauh-o-qalam kiske hain
Kis ne dil khol ke rakkha hai, ye gham kiske hain